Umesh ji, actually it is my desire that ur goodself yograj ji and
shukla ji share the stage together like we did when u sponsored the
seminar in delhi. Regards. Kulbir.
On 3/29/09, Sharat Pandit <sharatpandit@
> Umesh ji
>
> very well said!! I agree with you completely.
>
> regards
>
> Sharat pandit
>
> --- On Sun, 29/3/09, Umesh Sharma <mudit982001@
>
>
> From: Umesh Sharma <mudit982001@
> Subject: [astrostudents] Re: PANDIT RUP CHAND JEE AUR LAL KITAB
> To: astrostudents@
> Date: Sunday, 29 March, 2009, 5:44 PM
>
>
>
>
>
>
>
> Respected Mahajan Ji,
> Namskaar,
> Aapka gussa jayaz hey par yeh sirf Lalkitab ke naam par hi kyon? Kya vedic
> Jyotish ya Tantra _Mantra ke naam par ye sab nahin ho raha kya?
> Lal-kitab ko achi tarah se samjhaney ka kya paimana hey? Kyonki ki kisi ka
> bhi exam lene se pahley se sabit karna jaroori hey ki jo exam le raha he
> uska gyan ussey jyada hey. Jahan tak Bhrantiyon ki baat hey vah to Jyotish
> ki sari vidhaon ko lekar hi hey. Main aapse poochna chahta hoon ki LalKitab
> ko lekar kya bhrantiyan hain? Aur jahan tak dukandari ki baat hey to jo
> professional jyotishi hey vo un longon se kam kharnak hey jo ki jyotish ko
> sirf hobby ke liye kartey hain Kyonki koi bhi jyotishi ho jo professional es
> kam ko karta hey vo aapney grahak ko puran santuhi dega kyonki uss se dubara
> bhi fayda lena hey.Maan lain ki aapko usse koi fayda nahin hua to kya aap
> uskey pas dubara jayaingey? kya aap uski recommendation kisi aur ko
> karaingey? Mere anusaar dukandari chalana koi buri baat nahin HAAN ye avshay
> hey ki EMANDARI se chalayi jaye. Mahajan ji. main aapko Ek vyakti ka
> udhaharan deta hoon jisney kabhi es baat par vichar nahin kiya ki koi kya
> kar raha hey Vah sirf apney kaam main laga raha aur LALKITAB ke liye kaam
> karta raha. Aaj LalKitab Community ke Log uskey Shukar guzar hain ki uski
> khatir se longon ko LALKITAB ke vastvik rup ka pata chalaa. Halanki Main
> apney aapko LalKitab ka bahut aabhari manta tha parntoo main bhi kinhi
> karano se dra hua tha aur kuch chizon ko jag jahir nahi karta tha tha. But i
> salute to MR. YOGRAJ PRABHAKAR JI, jinhoney bina kisi hichak ke longon ke
> samney yeh kitab khol ke rakh di. Esi ko kahtey hain ki " Akela chala
> -------- aur Karvaan banta gaya." Guru ji, Mera yeh sab kahna sirf esliye
> hey hi hum kisi aur par kya pabandi laga saktey hain? Hum khud Emandari se
> kya sewa kar saktey hain bus yehi badi baat hey. Jahan tak Seminar ki baat
> hey Bahut hi achha vichsar hey parntoo essey LALKITAB ko kya fayda hoga ye
> jaroor vichar kar lain? Kya esa to nahi ki ye bhi LALKITAB ke naam par
> dukandari ko badava de de? Agar aap yeh sochtain hain ki esa nahi hoga to
> kharchey ko divide kya karana aap aadesh dain jahan bhi karana ho sara
> khracha mere jimmey. Sir, Kuch khatte-mittey anubhav hain esliye kah betha.
> Kisi baat ka bura mat maniyega.
>
> Thanks & Regerds
>
> Umesh Sharma
>
> --- In astrostudents@ yahoogroups. com, "mts3434" <mts3434@...
>>
>>
>> Members,
>>
>> Navrataron ki shubh kamnayo ke saath hee ek alag hee tarah ka topic
>> shuru kar rahan hoon jiski mein aap sab se pehle hee kshama maang leta
>> hoon aur mein chahata ki sab log/member iss mein bhag lein.
>>
>> Jaisa ki aajkal aap sab dekh rahe hain LAL KITAB ke specialist aap ko
>> har gali ki nukaad ,bazar,mohalla ya shehar mein mil jayenge (mein bhee
>> unn mein se hoon aisa mera manana hai, mein appvaad nahi), jinki
>> marzi/ichha ho to apni suee(needle) kee noke(hole) se haathi gujjar jane
>> dein agar marzi na ho to aapke haathi kee punchh bhee na gujrane
>> dein.LAL KITAB ko hum sab samjhane ka daawa to karte hain ,lekin kitna
>> samajh paye hain ,iska kya paimana hai ,yeh sab kuchh hamara hee banaya
>> hua hai.Hum khud hee apni samajh ke anusar har uss baat ka arath nikal
>> lete hain jo humko hamari samjh ke anusar sahi lagti hai, uski kisi se
>> charcha nahi karna chahte ki koi uska fayda na udha le (jabki woh
>> sarasar galat hoti hai).
>>
>> Kya koi aisee sanstha hai jo ki LAL KITAB kee samajh rakhne walo ko ek
>> hee manch pradan karei aur uska member banane ka gaurav mil jaye to
>> insan(LAL KITAB KE JANKAR) apne aap ko bhagyashali samjhe.Aaj to har
>> aadmi apni dukandari chala raha hai LAL KITAB ke naam par.
>>
>> Mujh ko aisa lagta hai ki aaj bhee agar kahin LAL KITAB par koi exam ho,
>> aur uss mein pandit jee hissa lete to unko FAIL kar dete.kyonki LAL
>> KITAB kee atma ko hum samjhne ki cheshta hee nahi karte ya kar rahe bas
>> apni apni dhafli ,apna apna raag .kya LAL KITAB issiliye likhi gayee
>> thee ki iss se apni dukandari chalayo , kisi ka bhala ho ya na ho, apni
>> jholi to bhar lo apna bhala to kar lo.Mere khayal se abb samay aa gaya
>> hai ki LAL KITAB ke premi ek manch par ikathe ho aur aapas mein vichar
>> vimarsh karke kuchh hal nikale.
>>
>> Kya aisa nahi ho sakta ki koi LAL KITAB par seminar kiya jaye yahan par
>> logo ki samasayon ka LAL KITAB ke aadhar par samadhan kiya jaye aur logo
>> se iss ke liye koi paisa/fee na vasool kiya jaye. Sab LAL KITAB ke
>> premion ka mahine mein ek din milna kya mushkil hai ? Yeh camp ya
>> seminar har baar alag alag shehar mein lagaya jaye aur iss par jo
>> kharcha aaye usko divide kiya jaye, sab member ek din iss par baith kar
>> charcha karein ya issi group mein apne vichar pragat kar de to bhee
>> achha hai. Iss se samaj mein jo LAL KITAB ke baare mein bhrantiya failly
>> huee hain woh bhee nikal jayengi aur NAALE PUNYA TE NAALE FALLIYAN wali
>> baat ho jayegi. Iss se Pujya Pandit Jee ne jo kuchh bhee LAL KITAB ko
>> lekar socha hoga shayad pura ho jaye.Sab se pehle mein hee apne shehar
>> LUDHIANA mein camp/seminar rakh sakta hoon, sab zumevari meri , aap sab
>> ka saath chahiye. Apni razamandi avash bheje , lekin ek baar baith kar
>> charch a zaroor kar lein aap jo bhee sthan chunege charcha ke liye mujhe
>> manzoor hoga.
>>
>> Pujya Pandit Jee aur Lal Kitab ke baare ek baar soche aur apna haath ek
>> baar zaroor badaye .Fir dekhe ki aapki zindgi mein kitna badlav aata
>> hai.
>>
>> Shubhkamna Sahit
>>
>> MAHAJAN
>>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
> Add more friends to your messenger and enjoy! Go to
> http://messenger.
--
Sent from my mobile device
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe
No comments:
Post a Comment