Sunday, March 29, 2009

[astrostudents] Re: PANDIT RUP CHAND JEE AUR LAL KITAB

Respected Mahajan Ji,
Namskaar,
Aapka gussa jayaz hey par yeh sirf Lalkitab ke naam par hi kyon? Kya vedic Jyotish ya Tantra _Mantra ke naam par ye sab nahin ho raha kya?
Lal-kitab ko achi tarah se samjhaney ka kya paimana hey? Kyonki ki kisi ka bhi exam lene se pahley se sabit karna jaroori hey ki jo exam le raha he uska gyan ussey jyada hey.  Jahan tak Bhrantiyon ki baat hey vah to Jyotish ki sari vidhaon ko lekar hi hey. Main aapse poochna chahta hoon ki LalKitab ko lekar kya bhrantiyan hain? Aur jahan tak dukandari ki baat hey to jo professional jyotishi hey vo un longon se kam kharnak hey jo ki jyotish ko sirf hobby ke liye kartey hain Kyonki koi bhi jyotishi ho jo professional es kam ko karta hey vo aapney grahak ko puran santuhi dega kyonki uss se dubara bhi fayda lena hey.Maan lain ki aapko usse koi fayda nahin hua to kya aap uskey pas dubara jayaingey? kya aap uski recommendation kisi aur ko karaingey? Mere anusaar dukandari chalana koi buri baat nahin HAAN ye avshay hey ki EMANDARI se chalayi jaye. Mahajan ji. main aapko Ek vyakti ka udhaharan deta hoon jisney kabhi es baat par vichar nahin kiya ki koi kya kar raha hey Vah sirf apney kaam main laga raha aur LALKITAB ke liye kaam karta raha. Aaj LalKitab Community ke Log uskey Shukar guzar hain ki uski khatir se longon ko LALKITAB ke vastvik rup ka pata chalaa. Halanki Main apney aapko LalKitab ka bahut aabhari manta tha parntoo main bhi kinhi karano se dra hua tha aur kuch chizon ko jag jahir nahi karta tha tha. But i salute to MR. YOGRAJ PRABHAKAR JI,  jinhoney bina kisi hichak ke longon ke samney yeh kitab khol ke rakh di. Esi ko kahtey hain ki " Akela chala --------  aur Karvaan banta gaya." Guru ji, Mera yeh sab kahna sirf esliye hey hi hum kisi aur par kya pabandi laga saktey hain? Hum khud Emandari se kya sewa kar saktey hain bus yehi badi baat hey. Jahan tak Seminar ki baat hey Bahut hi achha vichsar hey parntoo essey LALKITAB ko kya fayda hoga ye jaroor vichar kar lain? Kya esa to nahi ki ye bhi LALKITAB ke naam par dukandari ko badava de de? Agar aap yeh sochtain hain  ki esa nahi hoga to kharchey ko divide kya karana aap aadesh dain jahan bhi karana ho sara khracha mere jimmey.  Sir, Kuch khatte-mittey anubhav hain esliye kah betha. Kisi baat ka bura mat maniyega.

                                                                                                       Thanks & Regerds

                                                                                                         Umesh Sharma

--- In astrostudents@yahoogroups.com, "mts3434" <mts3434@...> wrote:
>
>
> Members,
>
> Navrataron ki shubh kamnayo ke saath hee ek alag hee tarah ka topic
> shuru kar rahan hoon jiski mein aap sab se pehle hee kshama maang leta
> hoon aur mein chahata ki sab log/member iss mein bhag lein.
>
> Jaisa ki aajkal aap sab dekh rahe hain LAL KITAB ke specialist aap ko
> har gali ki nukaad ,bazar,mohalla ya shehar mein mil jayenge (mein bhee
> unn mein se hoon aisa mera manana hai, mein appvaad nahi), jinki
> marzi/ichha ho to apni suee(needle) kee noke(hole) se haathi gujjar jane
> dein agar marzi na ho to aapke haathi kee punchh bhee na gujrane
> dein.LAL KITAB ko hum sab samjhane ka daawa to karte hain ,lekin kitna
> samajh paye hain ,iska kya paimana hai ,yeh sab kuchh hamara hee banaya
> hua hai.Hum khud hee apni samajh ke anusar har uss baat ka arath nikal
> lete hain jo humko hamari samjh ke anusar sahi lagti hai, uski kisi se
> charcha nahi karna chahte ki koi uska fayda na udha le (jabki woh
> sarasar galat hoti hai).
>
> Kya koi aisee sanstha hai jo ki LAL KITAB kee samajh rakhne walo ko ek
> hee manch pradan karei aur uska member banane ka gaurav mil jaye to
> insan(LAL KITAB KE JANKAR) apne aap ko bhagyashali samjhe.Aaj to har
> aadmi apni dukandari chala raha hai LAL KITAB ke naam par.
>
> Mujh ko aisa lagta hai ki aaj bhee agar kahin LAL KITAB par koi exam ho,
> aur uss mein pandit jee hissa lete to unko FAIL kar dete.kyonki LAL
> KITAB kee atma ko hum samjhne ki cheshta hee nahi karte ya kar rahe bas
> apni apni dhafli ,apna apna raag .kya LAL KITAB issiliye likhi gayee
> thee ki iss se apni dukandari chalayo , kisi ka bhala ho ya na ho, apni
> jholi to bhar lo apna bhala to kar lo.Mere khayal se abb samay aa gaya
> hai ki LAL KITAB ke premi ek manch par ikathe ho aur aapas mein vichar
> vimarsh karke kuchh hal nikale.
>
> Kya aisa nahi ho sakta ki koi LAL KITAB par seminar kiya jaye yahan par
> logo ki samasayon ka LAL KITAB ke aadhar par samadhan kiya jaye aur logo
> se iss ke liye koi paisa/fee na vasool kiya jaye. Sab LAL KITAB ke
> premion ka mahine mein ek din milna kya mushkil hai ? Yeh camp ya
> seminar har baar alag alag shehar mein lagaya jaye aur iss par jo
> kharcha aaye usko divide kiya jaye, sab member ek din iss par baith kar
> charcha karein ya issi group mein apne vichar pragat kar de to bhee
> achha hai. Iss se samaj mein jo LAL KITAB ke baare mein bhrantiya failly
> huee hain woh bhee nikal jayengi aur NAALE PUNYA TE NAALE FALLIYAN wali
> baat ho jayegi. Iss se Pujya Pandit Jee ne jo kuchh bhee LAL KITAB ko
> lekar socha hoga shayad pura ho jaye.Sab se pehle mein hee apne shehar
> LUDHIANA mein camp/seminar rakh sakta hoon, sab zumevari meri , aap sab
> ka saath chahiye. Apni razamandi avash bheje , lekin ek baar baith kar
> charch a zaroor kar lein aap jo bhee sthan chunege charcha ke liye mujhe
> manzoor hoga.
>
> Pujya Pandit Jee aur Lal Kitab ke baare ek baar soche aur apna haath ek
> baar zaroor badaye .Fir dekhe ki aapki zindgi mein kitna badlav aata
> hai.
>
> Shubhkamna Sahit
>
> MAHAJAN
>

__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Give Back

Yahoo! for Good

Get inspired

by a good cause.

Y! Toolbar

Get it Free!

easy 1-click access

to your groups.

Yahoo! Groups

Start a group

in 3 easy steps.

Connect with others.

.

__,_._,___

No comments: