Dear Kulbeer,
I am ready to share my experiances any where. Go ahead and fix the date and place
Thanks & regaeds
Umesh Sharma
--- In astrostudents@
>
> Umesh ji, actually it is my desire that ur goodself yograj ji and
> shukla ji share the stage together like we did when u sponsored the
> seminar in delhi. Regards. Kulbir.
>
> On 3/29/09, Sharat Pandit <sharatpandit@
> > Umesh ji
> >
> > very well said!! I agree with you completely.
> >
> > regards
> >
> > Sharat pandit
> >
> > --- On Sun, 29/3/09, Umesh Sharma <mudit982001@
> >
> >
> > From: Umesh Sharma <mudit982001@
> > Subject: [astrostudents] Re: PANDIT RUP CHAND JEE AUR LAL KITAB
> > To: astrostudents@
> > Date: Sunday, 29 March, 2009, 5:44 PM
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> > Respected Mahajan Ji,
> > Namskaar,
> > Aapka gussa jayaz hey par yeh sirf Lalkitab ke naam par hi kyon? Kya vedic
> > Jyotish ya Tantra _Mantra ke naam par ye sab nahin ho raha kya?
> > Lal-kitab ko achi tarah se samjhaney ka kya paimana hey? Kyonki ki kisi ka
> > bhi exam lene se pahley se sabit karna jaroori hey ki jo exam le raha he
> > uska gyan ussey jyada hey. Jahan tak Bhrantiyon ki baat hey vah to Jyotish
> > ki sari vidhaon ko lekar hi hey. Main aapse poochna chahta hoon ki LalKitab
> > ko lekar kya bhrantiyan hain? Aur jahan tak dukandari ki baat hey to jo
> > professional jyotishi hey vo un longon se kam kharnak hey jo ki jyotish ko
> > sirf hobby ke liye kartey hain Kyonki koi bhi jyotishi ho jo professional es
> > kam ko karta hey vo aapney grahak ko puran santuhi dega kyonki uss se dubara
> > bhi fayda lena hey.Maan lain ki aapko usse koi fayda nahin hua to kya aap
> > uskey pas dubara jayaingey? kya aap uski recommendation kisi aur ko
> > karaingey? Mere anusaar dukandari chalana koi buri baat nahin HAAN ye avshay
> > hey ki EMANDARI se chalayi jaye. Mahajan ji. main aapko Ek vyakti ka
> > udhaharan deta hoon jisney kabhi es baat par vichar nahin kiya ki koi kya
> > kar raha hey Vah sirf apney kaam main laga raha aur LALKITAB ke liye kaam
> > karta raha. Aaj LalKitab Community ke Log uskey Shukar guzar hain ki uski
> > khatir se longon ko LALKITAB ke vastvik rup ka pata chalaa. Halanki Main
> > apney aapko LalKitab ka bahut aabhari manta tha parntoo main bhi kinhi
> > karano se dra hua tha aur kuch chizon ko jag jahir nahi karta tha tha. But i
> > salute to MR. YOGRAJ PRABHAKAR JI, jinhoney bina kisi hichak ke longon ke
> > samney yeh kitab khol ke rakh di. Esi ko kahtey hain ki " Akela chala
> > -------- aur Karvaan banta gaya." Guru ji, Mera yeh sab kahna sirf esliye
> > hey hi hum kisi aur par kya pabandi laga saktey hain? Hum khud Emandari se
> > kya sewa kar saktey hain bus yehi badi baat hey. Jahan tak Seminar ki baat
> > hey Bahut hi achha vichsar hey parntoo essey LALKITAB ko kya fayda hoga ye
> > jaroor vichar kar lain? Kya esa to nahi ki ye bhi LALKITAB ke naam par
> > dukandari ko badava de de? Agar aap yeh sochtain hain ki esa nahi hoga to
> > kharchey ko divide kya karana aap aadesh dain jahan bhi karana ho sara
> > khracha mere jimmey. Sir, Kuch khatte-mittey anubhav hain esliye kah betha.
> > Kisi baat ka bura mat maniyega.
> >
> > Thanks & Regerds
> >
> > Umesh Sharma
> >
> > --- In astrostudents@ yahoogroups. com, "mts3434" <mts3434@> wrote:
> >>
> >>
> >> Members,
> >>
> >> Navrataron ki shubh kamnayo ke saath hee ek alag hee tarah ka topic
> >> shuru kar rahan hoon jiski mein aap sab se pehle hee kshama maang leta
> >> hoon aur mein chahata ki sab log/member iss mein bhag lein.
> >>
> >> Jaisa ki aajkal aap sab dekh rahe hain LAL KITAB ke specialist aap ko
> >> har gali ki nukaad ,bazar,mohalla ya shehar mein mil jayenge (mein bhee
> >> unn mein se hoon aisa mera manana hai, mein appvaad nahi), jinki
> >> marzi/ichha ho to apni suee(needle) kee noke(hole) se haathi gujjar jane
> >> dein agar marzi na ho to aapke haathi kee punchh bhee na gujrane
> >> dein.LAL KITAB ko hum sab samjhane ka daawa to karte hain ,lekin kitna
> >> samajh paye hain ,iska kya paimana hai ,yeh sab kuchh hamara hee banaya
> >> hua hai.Hum khud hee apni samajh ke anusar har uss baat ka arath nikal
> >> lete hain jo humko hamari samjh ke anusar sahi lagti hai, uski kisi se
> >> charcha nahi karna chahte ki koi uska fayda na udha le (jabki woh
> >> sarasar galat hoti hai).
> >>
> >> Kya koi aisee sanstha hai jo ki LAL KITAB kee samajh rakhne walo ko ek
> >> hee manch pradan karei aur uska member banane ka gaurav mil jaye to
> >> insan(LAL KITAB KE JANKAR) apne aap ko bhagyashali samjhe.Aaj to har
> >> aadmi apni dukandari chala raha hai LAL KITAB ke naam par.
> >>
> >> Mujh ko aisa lagta hai ki aaj bhee agar kahin LAL KITAB par koi exam ho,
> >> aur uss mein pandit jee hissa lete to unko FAIL kar dete.kyonki LAL
> >> KITAB kee atma ko hum samjhne ki cheshta hee nahi karte ya kar rahe bas
> >> apni apni dhafli ,apna apna raag .kya LAL KITAB issiliye likhi gayee
> >> thee ki iss se apni dukandari chalayo , kisi ka bhala ho ya na ho, apni
> >> jholi to bhar lo apna bhala to kar lo.Mere khayal se abb samay aa gaya
> >> hai ki LAL KITAB ke premi ek manch par ikathe ho aur aapas mein vichar
> >> vimarsh karke kuchh hal nikale.
> >>
> >> Kya aisa nahi ho sakta ki koi LAL KITAB par seminar kiya jaye yahan par
> >> logo ki samasayon ka LAL KITAB ke aadhar par samadhan kiya jaye aur logo
> >> se iss ke liye koi paisa/fee na vasool kiya jaye. Sab LAL KITAB ke
> >> premion ka mahine mein ek din milna kya mushkil hai ? Yeh camp ya
> >> seminar har baar alag alag shehar mein lagaya jaye aur iss par jo
> >> kharcha aaye usko divide kiya jaye, sab member ek din iss par baith kar
> >> charcha karein ya issi group mein apne vichar pragat kar de to bhee
> >> achha hai. Iss se samaj mein jo LAL KITAB ke baare mein bhrantiya failly
> >> huee hain woh bhee nikal jayengi aur NAALE PUNYA TE NAALE FALLIYAN wali
> >> baat ho jayegi. Iss se Pujya Pandit Jee ne jo kuchh bhee LAL KITAB ko
> >> lekar socha hoga shayad pura ho jaye.Sab se pehle mein hee apne shehar
> >> LUDHIANA mein camp/seminar rakh sakta hoon, sab zumevari meri , aap sab
> >> ka saath chahiye. Apni razamandi avash bheje , lekin ek baar baith kar
> >> charch a zaroor kar lein aap jo bhee sthan chunege charcha ke liye mujhe
> >> manzoor hoga.
> >>
> >> Pujya Pandit Jee aur Lal Kitab ke baare ek baar soche aur apna haath ek
> >> baar zaroor badaye .Fir dekhe ki aapki zindgi mein kitna badlav aata
> >> hai.
> >>
> >> Shubhkamna Sahit
> >>
> >> MAHAJAN
> >>
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> > Add more friends to your messenger and enjoy! Go to
> > http://messenger.
>
> --
> Sent from my mobile device
>
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe