Friday, January 23, 2009

Re: [astrostudents] Re: LAL KITAB KE ANUPAM UPAY KAISE KIYE JAYE

Nirmal ji, the logic for the remeay is all important. Like for malefic
rahu the remedy for eating in kitchen. But jahan khana banta ho
implies the presence of fire. Earlier fire was lit at every meal or
hot smoldering cow dung cakes were always prerent in the chullha. But
now we have microwaves. So what is to be done now. Can a gas burner be
lit while taking the meal or the food is to be cooked or heated on it.
Regardr-kulbir

On 1/23/09, Nirmal Kumar Bhardwaj <nirbhar@gmail.com> wrote:
> Dear members,
> Mahajan ji views are important. It is difficult to make chandra
> nashtha on gas burner. The method told by mahazan Ji holds good.in my
> view we can also use it on "burning Dry Cowdung Cakes".
> Regards
> Nirmal
> --- In astrostudents@yahoogroups.com, "mts3434" <mts3434@...> wrote:
>>
>>
>> Members,
>>
>> Jyotish ke jankaro ke liye Lal kitab ek anmol Granth hai jisko ki
>> 1939,40,41,42 evam 1952 mein Pt. Rup Chand Joshi ji dwara likha gaya.
>> Tabh se lekar abb tak bahut saare badlav aa chuke hain. Hum logo ki
>> jivan padhiti mein bhee bahut badlav aa chuke hain. Uss samay jo upay
>> Lal Kitab mein likhe gaye theay woh uss samay ke anusar mamulee ya
>> aasani se uplabhad theay.Mera Lal Kitab ke premion se yehi nivedan hai
>> ki woh jab bhee Lal Kitab ka koi upay bataye, uss samay jab yeh anmol
>> Granth likha gaya uss samay ka ya vatavaran ka dhayan rakh kar hee upay
>> ki vidhi bhee bataye ta ki jo jatak upay kare woh uska pura fayda udha
>> sake. Iss baat ko ek udaharan dekar samjha raha hoon:-
>>
>> Suraj + Shani ke takrav ke samay Chander nasht kiya jata hai.
>>
>> Abb Chander ko kaise nasht kiya jata hai. Aaj ke zamane mein gas ke
>> chulhe hain. Aaj Lal Kitab ke jankar isko kuchh iss tarah lete hain ki
>> raat ko gas burner par doodh ka chhirkav karva dete hai aur yeh warning
>> bhee de dete hain ki jis burner par Chander nasht kiya gaya hai usko
>> subah tak na jalaya jaye(jo bilkul theek hai).
>>
>> Abb agar aap log jisko yeh upay bata rahen hai usko agar yeh kaha jaye
>> ki aap gas burner par ek koyla ( kacha ya hard/ yeh Rahu hua ) rakh kar
>> uss par Chander nasht karen to mere khayal se bahut hee badia result
>> milege.
>>
>> Uss samay 1952 tak har ghar mein anghithee hua karti thee jis mein koyle
>> ya upple daal kar aag ya anghithee jalayee jati thee uss par hee Chander
>> nasht kiya jata thaa.Kyonki iss mein Rahu ka bhee role hai iss liye hee
>> mein aisa karne ko keh rahan hoo.
>>
>> Iss vishay par kripya apne vichar spasht likhe. Aapke vichar hee kal
>> (tomarrow) issi vishay par ek aur upay ki vidhi likhne ki prerna denge.
>>
>> MAHAJAN.
>>
>
>
>

__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Yahoo! Finance

It's Now Personal

Guides, news,

advice & more.

Y! Messenger

Want a quick chat?

Chat over IM with

group members.

Search Ads

Get new customers.

List your web site

in Yahoo! Search.

.

__,_._,___

No comments: