Wednesday, January 21, 2009

Re: [astrostudents] LAL KITAB KE ANUPAM UPAY KAISE KIYE JAYE

mahajan ji;
for this the first step would be assigningment of new karaks to planets,
second would be studing modifications in the lifestyle;
 third one would be amalgmation of modern architecture with the vaastu with the vaastu written in lalkitab.
one thing is to be remembered that basics always remain the same, we cannot change the basics but only  modify them to suit our current needs.
regards
kulbir

 
On 1/21/09, mts3434 <mts3434@yahoo.co.in> wrote:

Members,

Jyotish ke jankaro ke liye Lal kitab ek anmol Granth hai jisko ki 1939,40,41,42 evam 1952 mein Pt. Rup Chand Joshi ji dwara likha gaya. Tabh se lekar abb tak bahut saare badlav aa chuke hain. Hum logo ki jivan padhiti mein bhee bahut badlav aa chuke hain. Uss samay jo upay Lal Kitab mein likhe gaye theay woh uss samay ke anusar mamulee ya aasani se uplabhad theay.Mera Lal Kitab ke premion se yehi  nivedan hai ki woh jab bhee Lal Kitab ka koi upay bataye, uss samay jab yeh anmol Granth  likha gaya uss samay ka ya vatavaran ka dhayan rakh kar hee upay ki vidhi bhee bataye ta ki jo jatak upay kare woh uska pura fayda udha sake. Iss baat ko ek udaharan dekar samjha raha hoon:-

Suraj + Shani ke takrav ke samay Chander nasht kiya jata hai.

Abb Chander ko kaise nasht kiya jata hai. Aaj ke zamane mein gas ke chulhe hain. Aaj Lal Kitab ke jankar isko kuchh iss tarah lete hain ki raat ko gas burner par doodh ka chhirkav karva dete hai aur yeh warning bhee de dete hain ki jis burner par Chander nasht kiya gaya hai usko subah tak na jalaya jaye(jo bilkul theek hai).

Abb agar aap log jisko yeh upay bata rahen hai usko agar yeh kaha jaye ki aap gas burner par ek koyla ( kacha ya hard/ yeh Rahu hua ) rakh kar uss par Chander nasht karen to mere khayal se bahut hee badia result milege.

Uss samay 1952 tak har ghar mein anghithee hua karti thee jis mein koyle ya upple daal kar aag ya anghithee jalayee jati thee uss par hee Chander nasht kiya jata thaa.Kyonki iss mein Rahu ka bhee role hai iss liye hee mein aisa karne ko keh rahan hoo.

Iss vishay par kripya apne vichar spasht likhe. Aapke vichar hee kal (tomarrow) issi vishay par ek aur upay ki vidhi likhne ki prerna denge. 

MAHAJAN.


__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Yahoo! Finance

It's Now Personal

Guides, news,

advice & more.

Y! Messenger

All together now

Host a free online

conference on IM.

Health Groups

for people over 40

Join people who are

staying in shape.

.

__,_._,___

No comments: