Dear members,
Mahajan ji views are important. It is difficult to make chandra
nashtha on gas burner. The method told by mahazan Ji holds good.in my
view we can also use it on "burning Dry Cowdung Cakes".
Regards
Nirmal
--- In astrostudents@
>
>
> Members,
>
> Jyotish ke jankaro ke liye Lal kitab ek anmol Granth hai jisko ki
> 1939,40,41,42 evam 1952 mein Pt. Rup Chand Joshi ji dwara likha gaya.
> Tabh se lekar abb tak bahut saare badlav aa chuke hain. Hum logo ki
> jivan padhiti mein bhee bahut badlav aa chuke hain. Uss samay jo upay
> Lal Kitab mein likhe gaye theay woh uss samay ke anusar mamulee ya
> aasani se uplabhad theay.Mera Lal Kitab ke premion se yehi nivedan hai
> ki woh jab bhee Lal Kitab ka koi upay bataye, uss samay jab yeh anmol
> Granth likha gaya uss samay ka ya vatavaran ka dhayan rakh kar hee upay
> ki vidhi bhee bataye ta ki jo jatak upay kare woh uska pura fayda udha
> sake. Iss baat ko ek udaharan dekar samjha raha hoon:-
>
> Suraj + Shani ke takrav ke samay Chander nasht kiya jata hai.
>
> Abb Chander ko kaise nasht kiya jata hai. Aaj ke zamane mein gas ke
> chulhe hain. Aaj Lal Kitab ke jankar isko kuchh iss tarah lete hain ki
> raat ko gas burner par doodh ka chhirkav karva dete hai aur yeh warning
> bhee de dete hain ki jis burner par Chander nasht kiya gaya hai usko
> subah tak na jalaya jaye(jo bilkul theek hai).
>
> Abb agar aap log jisko yeh upay bata rahen hai usko agar yeh kaha jaye
> ki aap gas burner par ek koyla ( kacha ya hard/ yeh Rahu hua ) rakh kar
> uss par Chander nasht karen to mere khayal se bahut hee badia result
> milege.
>
> Uss samay 1952 tak har ghar mein anghithee hua karti thee jis mein koyle
> ya upple daal kar aag ya anghithee jalayee jati thee uss par hee Chander
> nasht kiya jata thaa.Kyonki iss mein Rahu ka bhee role hai iss liye hee
> mein aisa karne ko keh rahan hoo.
>
> Iss vishay par kripya apne vichar spasht likhe. Aapke vichar hee kal
> (tomarrow) issi vishay par ek aur upay ki vidhi likhne ki prerna denge.
>
> MAHAJAN.
>
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe
__,_._,___
No comments:
Post a Comment