Monday, January 26, 2009

[astrostudents] Re: LAL KITAB KE ANUPAM UPAY KAISE KIYE JAYE

Kulbir Jee,
Aaj ke daur ka yeh sabse aham swal hai, kya rasoi mein khana khaya
ja sakta hai? Aaj sab parivar bikhar chuke hain, joint family kabhi
kabhar hee dekhne ko milti hai, agar kisi se puchha jaye ki kya aap
joint family mein rehte ho to uska jawab hoga haan........ lekin
iska dusra pahlu koi nahi puchhta ki kya rasoi bhee ek hai, agar
puchha jaye to jawab hoga jee nahi , joint family ka matlab aaj ke
zamane mein yehi reh gaya hai ki hum ek makan (gaur karein ki makan
shabad kaha hai GHAR NAHI ) mein rehte hain lekin rasoi sab ki alag
alag hai.
fir joint family kaise hueee?????Log ekk hee makkan mein rehne ko
hee joint family samajh rahe hain.
Rasoi mein khana khai to kaise ?
pehle ghar ki badi aurat khana bana rahi hoti thee tab sara parivar
baith kar khana kha leta thaa ya baari baari se khana kha lete theay.
yeh abb bhee ho sakta hai lekin koi karne ko tayar nahi issi liye
ghar ghar mein kalesh hai aur barkat nahi ( kalesh : Rahu )
Jiska rahu khana no 12 mein ho usko chahiye woh rasoi mein jab khana
khaye (sitting/standing) jaise marzi to usko/unko chahiye ki gas
burner (aag: Mangal)on karke chulhe par chahe tea, milk,tadka ya
kuchh aur kaam jo ki Agg par ho sake zaroor karna chahiy kyonki
yahan par Mangal ka hazir hona zaroori hai.

AGAR SARA PARIVAR BHAJAN AUR BHOJAN EK SAATH KARE TO GHAR MEIN SUKH
SHANTI AUR SAMRIDHI KA VAAS HO JAYEGA. AISA MERA VICHAR HAI.

MAHAJAN.

--- In astrostudents@yahoogroups.com, kulbir bance <kulbirbance@...>
wrote:
>
> Nirmal ji, the logic for the remeay is all important. Like for
malefic
> rahu the remedy for eating in kitchen. But jahan khana banta ho
> implies the presence of fire. Earlier fire was lit at every meal or
> hot smoldering cow dung cakes were always prerent in the chullha.
But
> now we have microwaves. So what is to be done now. Can a gas
burner be
> lit while taking the meal or the food is to be cooked or heated on
it.
> Regardr-kulbir
>
> On 1/23/09, Nirmal Kumar Bhardwaj <nirbhar@...> wrote:
> > Dear members,
> > Mahajan ji views are important. It is difficult to make chandra
> > nashtha on gas burner. The method told by mahazan Ji holds
good.in my
> > view we can also use it on "burning Dry Cowdung Cakes".
> > Regards
> > Nirmal
> > --- In astrostudents@yahoogroups.com, "mts3434" <mts3434@> wrote:
> >>
> >>
> >> Members,
> >>
> >> Jyotish ke jankaro ke liye Lal kitab ek anmol Granth hai jisko
ki
> >> 1939,40,41,42 evam 1952 mein Pt. Rup Chand Joshi ji dwara likha
gaya.
> >> Tabh se lekar abb tak bahut saare badlav aa chuke hain. Hum
logo ki
> >> jivan padhiti mein bhee bahut badlav aa chuke hain. Uss samay
jo upay
> >> Lal Kitab mein likhe gaye theay woh uss samay ke anusar mamulee
ya
> >> aasani se uplabhad theay.Mera Lal Kitab ke premion se yehi
nivedan hai
> >> ki woh jab bhee Lal Kitab ka koi upay bataye, uss samay jab yeh
anmol
> >> Granth likha gaya uss samay ka ya vatavaran ka dhayan rakh kar
hee upay
> >> ki vidhi bhee bataye ta ki jo jatak upay kare woh uska pura
fayda udha
> >> sake. Iss baat ko ek udaharan dekar samjha raha hoon:-
> >>
> >> Suraj + Shani ke takrav ke samay Chander nasht kiya jata hai.
> >>
> >> Abb Chander ko kaise nasht kiya jata hai. Aaj ke zamane mein
gas ke
> >> chulhe hain. Aaj Lal Kitab ke jankar isko kuchh iss tarah lete
hain ki
> >> raat ko gas burner par doodh ka chhirkav karva dete hai aur yeh
warning
> >> bhee de dete hain ki jis burner par Chander nasht kiya gaya hai
usko
> >> subah tak na jalaya jaye(jo bilkul theek hai).
> >>
> >> Abb agar aap log jisko yeh upay bata rahen hai usko agar yeh
kaha jaye
> >> ki aap gas burner par ek koyla ( kacha ya hard/ yeh Rahu hua )
rakh kar
> >> uss par Chander nasht karen to mere khayal se bahut hee badia
result
> >> milege.
> >>
> >> Uss samay 1952 tak har ghar mein anghithee hua karti thee jis
mein koyle
> >> ya upple daal kar aag ya anghithee jalayee jati thee uss par
hee Chander
> >> nasht kiya jata thaa.Kyonki iss mein Rahu ka bhee role hai iss
liye hee
> >> mein aisa karne ko keh rahan hoo.
> >>
> >> Iss vishay par kripya apne vichar spasht likhe. Aapke vichar
hee kal
> >> (tomarrow) issi vishay par ek aur upay ki vidhi likhne ki
prerna denge.
> >>
> >> MAHAJAN.
> >>
> >
> >
> >
>

__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Yahoo! Finance

It's Now Personal

Guides, news,

advice & more.

Need traffic?

Drive customers

With search ads

on Yahoo!

Y! Messenger

PC-to-PC calls

Call your friends

worldwide - free!

.

__,_._,___

No comments: