Members
aap sab ko yeh jankar harani hog1 ki 1975-76 ke karib jab lalkitab
market mein ayee(hindi photostat) tab jitne bhee log jo jyotish ki
jankari rakhte theiy, unn logo ne budh khana no 2 walo ke ghar se
niwar ke goley niklwa diye. tab aam gharo mein niwar hoti thee. abb
niwar nahi hai to yeh jyotish log kya karein.abb wool ke goley
niklwa rahe hain.budh khana no 2 wale ke liye achha yehi hai ki ghar
mein kisi bhee kisam ka suti (cotton) dhaga gole ki shakal mein na
pada ho.
jaise khana no 1 ke liye daant 32 chahiye yahan bhee wohi halat hai
(vaise har khana mein budh ka achha phal tabi milega jab daant 32 ho)
Agar brahspati khana no 6ya7 mein ho to aisa jatak pita (father) ke
liye bhari hoga, matlab ki uske pita ki maut ya mritu tulya kashat
jab budh khana no 2 wale ki umar 16 se 22 ki hogi. zyadatar aise
jatak ke pita ki maut 16 se 19 saal ke beech hi ho jati hai agar
bach jaye to bhee bimar ya murda ke brabar hi hoga.
Aise jatak ke ladkiya zyada hogi,lekin lawald nahi hoga matlab ki
ladka avash hoga . ladke ke liye brahspati aur chander ki sahayta
lee ja sakti hai.
Budh asal mein kya hai? brahspati+rahu= BUDH
abb aap rahu khana no 2 ka upay Chandi ki thos (solid)goli jatak
apne paas rakh sakte hain.
aur bhee bahut kuchh kiya ja sakta filhal itna hi kafi hai, agar aap
ke paas Budh khana no 2 ke baare mein kuchh alag hi jankari hai ti
likhe.
MAHAJAN
No comments:
Post a Comment