MEMBERS
Aap ko yeh jaan kar khushi hogi ki Ludhiana (punjab) mein LAL KITAB PRACHAR SAMITI ka gathan ho chuka hai, jiska president mujh khaksaar ko chuna gaya hai aur LAL KITAB ke prachar ke liye yeh nirnay liya gaya hai ki ek divsiye Jyotish Sammelan cum Jyotish Camp 17-01-2010 ko lagaya jaye.
Iss liye 17-01-2010 ko Ludhiana mein Shri Guru Nanak Dev Bhavan mein ek Jyotish Camp lagaya ja raha hai jisme Jyotish kee har vidya ko brabar ka mahatav diya jayega jaise ki LAL KITAB, VEDIC,PALMISTRY, VASTU,TARROT CARD adi adi.
Samiti ne yeh faisla bhee liya hai ki har saal iss tarah ka sammelan karwaya jayega aur har varsh LAL KITAB par jinho ne achha kaam kiya hai unko sanmanit kiya jayega. Iss saal (pehli baar) Sh. DURGA DASS jee ko sanmanit kiya ja raha hai jo ki iss samay karib 90-95 varsh ke ho chuke hain aur woh Pujya Pandit Jee ke kafi karib they aur woh bhee LAL KITAB kee practice karte rahe hain aur iss samay unki tabiyat unko iss par kaam karne kee izazat nahi deti, iss liye woh apna samay apne bete ke paas phagwara mein sara samay bister par guzar rahein hain.(Bhagwan unko lambi ummar de)
Agle varsh(dusra sammelan) ke liye hamare paas kafi naam hai jin par charcha karna mein theek nahi samjhata. Mera yeh sab likhne ka maksad ek hee hai ki aap sab bhee apne apne sheahr mein aisa koi manch banaye jis se ki LAL KITAB ke baare mein jo bhee bhrantiya hain woh logo ke mann se niakal sake, jiske liye kisi bhee tarah ka sahyog chahiye to woh aapko LAL KITAB PARACHAR SAMITI, LUDHIANA zaroor degi iss samay to hum ko aapke sahyog kee zaroorat hai. agar aap bhee apna koi vichar ( ya sahyog kisi bhee tarah ka)iss sammelan mein prakat karna chahte hain to uska swagat hai.Agar aap apna koi counter (perdict karne ke liye)chahte hai to woh bhee aapko muhiya karwaya jayega, humko aap sabka khas karke KULBIR BAINS, YOGRAJ PARABHAKAR, VIPIN SHUKLA, PROF.SUREH UPADHYA, UMESH SHARMA, BENI MADHAW GOSWAMI,S.LEEKHA, PUNIT PANDEY (Jinka naam nahi likha ja saka unse mafi chahta hoon kripya woh gussa na kare,lekin woh bhee amamntrit hain)aur jo bhee iss group ke member hain sabka sahyog chaiye.
Kripya agar koi iss sammelan mein aana chahta ho to woh zaroor inform kar de taki uske liye pura intzam kiya ja sake.
MAHAJAN
No comments:
Post a Comment