Monday, December 14, 2009

[astrostudents] Lalkitab

 

Dear members; Muni Pathak has an interesting note in his commentary on lalkitab; i don't know how to translate it into English so i am putting it as such in Romanised Hindi;
""1. Bharat mein grahon ka jyotishiye jyan saurmandal ke grahon se sambhandhit nahin hai, apitu ek aisa sidhanth hai, jisme yeh bataya gaya hai ki kissi bhi prakrtik - aprakritik ikkayion me balrekhaon se bane oorja uttsarjan bindu kaun kaun hain. Saurmandal ke grahon ki pehchan bhi isi sidhant ke tahat ki gayi, isliye inme samanta pratit hoti hai.
2. kissi bhi ikkayi mein grah ke naam se jaane wale in 9 binduon se bhin bhin prakar ki oorja-trange uttpan hoti hain. us ikkayi ki aakriti avam uski gun-pravartiyan in hi trango ke gunnatamak samikaran par nirbhar karti hai.
3. inhi tarango ko bharat mein devi devta ke naam se bhi jaana jata hai.
4. Lalkitab mein grahon ki vastyon ki sarini inhi tarango ki sthiti ko pehchankar banayi gayi hai, "".

Regards
Kulbir Bains.

__._,_.___
.

__,_._,___

No comments: