Respected Members,
Jaisa ki aap sab jante hai ki lal kitab mein jikar aata hai ki SHANI KHANA NUMBER 2 KEY SAMAY MAKAAN(SHANI) JAISA BANE BAN NE DEY.MUBARAK HOGA.yani ki beech mein construction nahi rokni.
iska prabhaw hamay LAL KITAB 1952 KA LIPAYANTAR mein dekhne ko mila.14 december 2009 ko part 1 aa gya tha aur announce kiya gya tha ki jan 2010 tak doosra part aa jaye ga.magar 26 march tak bi doosra part mukammal nahi ho saka.
Karan sapasht hai pehla part shani 2 tak likha gya.shani ko adhoora chhoda.yahan par b shani apna asar dikha gya.ab dekhte hai shani kab nek hoga.
pujya pundit ji ney lal kitab 1952 ko ek hi part mein
likha,magar yahan aaj is kitab ko 2 part mein chhapne ka maqsad kya hai yeh to pramatma hi jane.kehte hai jaisi niyat waisi murad.niyat nek to phal nek.
yadi yeh lipayantar hai to is kitab ko bilkul waise hi ek part mein kyo nahi likha gya.
sabse badi baat gaur karne layak yeh hai ki yadi yeh publisher par apna asar dikha sakti hai to jiske pass hogi ya jo isey do adhoore ko samjhne ya parne ki koshish karega kya use nek asar mil sakta hai.yadi pundit ji ney iski jild(binding par lal rang ka nek asar mana hai)to iska saaf matlab hai is kitab key shabad gaibi hai na ki kisi insaan key dimaag ki apni upaj.ab yadi koi apni samajh sey 2 part kar dey to kya asar hoga parne walon par aur kitab ki trading karne walon par.
With Regards
Kunwar Vishal
Friday, March 26, 2010
[astrostudents] Shani ko adhoora chhoda
__._,_.___
.
__,_._,___
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment