Members,
Namaskar,
Mangal khana no. 8 ke liye lk mein jo upay likha hai dekhne mein yeh
aya hai kee sab lal kitabi yeh upay galat karwate hain, ho sakta hai
ki mein hee galat hoon, agar mein galat hoon to zaroor batayein.
Upay:- mithi roti ( taveh ki nahi ) tandoor mein lagwa kar kutton ko
de.
ab yahan par hota kya hai ki atta to ghar mein bana lete hain aur
roti bazar se lagwa lete hain.
Iss ko dhayan se pada jaye to apko yahan yeh samajh ayega ki roti
taveh par nahi banani.yahan par taveh ki manahi hai kyon.......?
abb jab bhee aap kisi ko yeh upay batayein to mere khayal se yeh
bhee zaroor bata dein ki roti ko tanoor wala lohe ki seekh (iron rod
jo ammtaur par tandoor se roti nikalane ke liye tandoor wala apne
paas rakhta hai) na laga paye. matlab saaf hai ki jaise pehle
auratein ghar mein tandoor par roti banati thee vaise hee banwai
jaye. yahan par roti ko lohe par/ loha touch (shani) na kar paye iss
liye tandoor par banane ke liye likha hai.
Mahajan
P.S. Mangal khana no. 8 wale ko ghar par, ghar ki chhat par tandoor
rakhne ki manahi hai.
Yahoo! Groups users, check out this limited time offer from Blockbuster! Rent DVDs free for a month!
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe
__,_._,___
No comments:
Post a Comment