Wednesday, April 01, 2009

[astrostudents] Re: PANDIT RUP CHAND JEE AUR LAL KITAB


Umesh Jee,

Namaskar,

Abhi tak sirf aapki razamandi aayee hai , par woh bhee kuchh talkhi ke
saath(mere likhne mein kuchh galat ho gaya hoga, shayad iss liye).Fir
bhee khushi hai ki mera likhna fizool nahi gaya.

Mera likhne ka bilkul bhee woh maqsad nahi thaa jo aapne samjha(ya sab
ne samjha hoga)

JAB BHEE MEIN YA KOI AUR BHEE YEH KAHEGA KI LAL KITAB KE NAAM PAR
DUKANDARI CHALA RAHE HAIN YA CHAL RAHI HAI

to mera (ya sabka) nishana aap ya professional jyotishi nahi hote, balki
woh log hote hain jo NEEM HAKIM KHATRA-E-JAAN type ke hain aur jinka
maqsad hee sirf paisa vasoolana hota hai.

LAL KITAB ke jankar aap ka, Yog Raj jee ka, Nirmal Jee ka, Veni Madhav
Goswami Jee ka,Kulbir Bains Jee ka tatha aise hee aur bhee kuchh
hastiyan hongi unka ehsan kabhi nahi bhool payengi, kyonki unhi kee
vajah se aaj LAL KITAB uplabhad hai, varna yeh to ek khawab hee rehta.

Lekin itna kuchh ho jaane ke baad bhee log, iss baare mein kitna kuchh
jaante hain, shayad kuchh bhee nahi, issiliye to mein kehta(chahta) hoon
ki LAL KITAB ko ghar ghar pahunchaya jaye aur iss ke dwara logo kee
kuchh na kuchh madad kee jaye, kyonki abhi bhee bahut se log aise hain
jo professional jyotish ke paas jane se darte hain,ya unki fee hee kuchh
zyada hoti hai(hogi).

Mere khayal se agar professional jyotishee bhee agar saptah ka ek din
free consultaion kar dein to shayad logo kee dua(best wishes) se hee
unko itna kuchh prapat ho jayega , jitne ke baare mein unho ne socha
bhee nahi hoga(chahe to koi bhee isko azma kar dekh le).Kyonki insaan
paise zyada vasool karne se utni zaldi nahi badega jitni zaldi ki woh
logo ki best wishes se badega.

Issiliye mein chahta thaa ki LAL KITAB ke mahir bhee mahine ka ek
din(yeh seminar/camp har mahine alag alag shehar mein kiya jaye) logo
kee sewa ke liye nikal diya karein ta ki LAL KITAB ke dwara hee logo ka
bhala ho sake tatha log bhee LAL KITAB ke baare mein jaan jaye aur woh
iss padhiti par vishwas karein.Kahin aisa na ho ki professional
jyotishee, profession ke chakr mein aise ulajh jaye ki garib ka bhala
hee na kar sakeh to aisee vidhya ya ilam ka fayda jo sirf amiron ke kaam
hee aaye?

Agar mera aise likhne se kisi kee bhavnao ko thes panhonche to mein uss
mein kya kar sakta hoon sivaye mafi mangne ke. Iss liye mein agar kisi
kee bhavnaon ko thes pahuncha raha hoon to mafi chahta hoon.

Kabhi kisi garib kee dil se nikli dua le kar dekhiye, ki uska asar kitni
zaldi hota hai, ya kitni khushi milti hai , aisa chamtkar hoga ki
....................................... bas dekhte reh jayoge

MAHAJAN

--- In astrostudents@yahoogroups.com, "Umesh Sharma" <mudit982001@...>
wrote:
>
>
> Respected Mahajan Ji,
> Namskaar,
> Aapka gussa jayaz hey par yeh sirf Lalkitab ke naam par hi kyon? Kya
> vedic Jyotish ya Tantra _Mantra ke naam par ye sab nahin ho raha kya?
> Lal-kitab ko achi tarah se samjhaney ka kya paimana hey? Kyonki ki
kisi
> ka bhi exam lene se pahley se sabit karna jaroori hey ki jo exam le
raha
> he uska gyan ussey jyada hey. Jahan tak Bhrantiyon ki baat hey vah to
> Jyotish ki sari vidhaon ko lekar hi hey. Main aapse poochna chahta
hoon
> ki LalKitab ko lekar kya bhrantiyan hain? Aur jahan tak dukandari ki
> baat hey to jo professional jyotishi hey vo un longon se kam kharnak
hey
> jo ki jyotish ko sirf hobby ke liye kartey hain Kyonki koi bhi
jyotishi
> ho jo professional es kam ko karta hey vo aapney grahak ko puran
santuhi
> dega kyonki uss se dubara bhi fayda lena hey.Maan lain ki aapko usse
koi
> fayda nahin hua to kya aap uskey pas dubara jayaingey? kya aap uski
> recommendation kisi aur ko karaingey? Mere anusaar dukandari chalana
koi
> buri baat nahin HAAN ye avshay hey ki EMANDARI se chalayi jaye.
Mahajan
> ji. main aapko Ek vyakti ka udhaharan deta hoon jisney kabhi es baat
par
> vichar nahin kiya ki koi kya kar raha hey Vah sirf apney kaam main
laga
> raha aur LALKITAB ke liye kaam karta raha. Aaj LalKitab Community ke
Log
> uskey Shukar guzar hain ki uski khatir se longon ko LALKITAB ke
vastvik
> rup ka pata chalaa. Halanki Main apney aapko LalKitab ka bahut aabhari
> manta tha parntoo main bhi kinhi karano se dra hua tha aur kuch chizon
> ko jag jahir nahi karta tha tha. But i salute to MR. YOGRAJ PRABHAKAR
> JI, jinhoney bina kisi hichak ke longon ke samney yeh kitab khol ke
> rakh di. Esi ko kahtey hain ki " Akela chala -------- aur Karvaan
banta
> gaya." Guru ji, Mera yeh sab kahna sirf esliye hey hi hum kisi aur par
> kya pabandi laga saktey hain? Hum khud Emandari se kya sewa kar saktey
> hain bus yehi badi baat hey. Jahan tak Seminar ki baat hey Bahut hi
> achha vichsar hey parntoo essey LALKITAB ko kya fayda hoga ye jaroor
> vichar kar lain? Kya esa to nahi ki ye bhi LALKITAB ke naam par
> dukandari ko badava de de? Agar aap yeh sochtain hain ki esa nahi hoga
> to kharchey ko divide kya karana aap aadesh dain jahan bhi karana ho
> sara khracha mere jimmey. Sir, Kuch khatte-mittey anubhav hain esliye
> kah betha. Kisi baat ka bura mat maniyega.
>
>
> Thanks & Regerds
>
>
> Umesh Sharma
>
> --- In astrostudents@yahoogroups.com, "mts3434" mts3434@ wrote:
> >
> >
> > Members,
> >
> > Navrataron ki shubh kamnayo ke saath hee ek alag hee tarah ka topic
> > shuru kar rahan hoon jiski mein aap sab se pehle hee kshama maang
leta
> > hoon aur mein chahata ki sab log/member iss mein bhag lein.
> >
> > Jaisa ki aajkal aap sab dekh rahe hain LAL KITAB ke specialist aap
ko
> > har gali ki nukaad ,bazar,mohalla ya shehar mein mil jayenge (mein
> bhee
> > unn mein se hoon aisa mera manana hai, mein appvaad nahi), jinki
> > marzi/ichha ho to apni suee(needle) kee noke(hole) se haathi gujjar
> jane
> > dein agar marzi na ho to aapke haathi kee punchh bhee na gujrane
> > dein.LAL KITAB ko hum sab samjhane ka daawa to karte hain ,lekin
kitna
> > samajh paye hain ,iska kya paimana hai ,yeh sab kuchh hamara hee
> banaya
> > hua hai.Hum khud hee apni samajh ke anusar har uss baat ka arath
nikal
> > lete hain jo humko hamari samjh ke anusar sahi lagti hai, uski kisi
se
> > charcha nahi karna chahte ki koi uska fayda na udha le (jabki woh
> > sarasar galat hoti hai).
> >
> > Kya koi aisee sanstha hai jo ki LAL KITAB kee samajh rakhne walo ko
ek
> > hee manch pradan karei aur uska member banane ka gaurav mil jaye to
> > insan(LAL KITAB KE JANKAR) apne aap ko bhagyashali samjhe.Aaj to har
> > aadmi apni dukandari chala raha hai LAL KITAB ke naam par.
> >
> > Mujh ko aisa lagta hai ki aaj bhee agar kahin LAL KITAB par koi exam
> ho,
> > aur uss mein pandit jee hissa lete to unko FAIL kar dete.kyonki LAL
> > KITAB kee atma ko hum samjhne ki cheshta hee nahi karte ya kar rahe
> bas
> > apni apni dhafli ,apna apna raag .kya LAL KITAB issiliye likhi gayee
> > thee ki iss se apni dukandari chalayo , kisi ka bhala ho ya na ho,
> apni
> > jholi to bhar lo apna bhala to kar lo.Mere khayal se abb samay aa
gaya
> > hai ki LAL KITAB ke premi ek manch par ikathe ho aur aapas mein
vichar
> > vimarsh karke kuchh hal nikale.
> >
> > Kya aisa nahi ho sakta ki koi LAL KITAB par seminar kiya jaye yahan
> par
> > logo ki samasayon ka LAL KITAB ke aadhar par samadhan kiya jaye aur
> logo
> > se iss ke liye koi paisa/fee na vasool kiya jaye. Sab LAL KITAB ke
> > premion ka mahine mein ek din milna kya mushkil hai ? Yeh camp ya
> > seminar har baar alag alag shehar mein lagaya jaye aur iss par jo
> > kharcha aaye usko divide kiya jaye, sab member ek din iss par baith
> kar
> > charcha karein ya issi group mein apne vichar pragat kar de to bhee
> > achha hai. Iss se samaj mein jo LAL KITAB ke baare mein bhrantiya
> failly
> > huee hain woh bhee nikal jayengi aur NAALE PUNYA TE NAALE FALLIYAN
> wali
> > baat ho jayegi. Iss se Pujya Pandit Jee ne jo kuchh bhee LAL KITAB
ko
> > lekar socha hoga shayad pura ho jaye.Sab se pehle mein hee apne
shehar
> > LUDHIANA mein camp/seminar rakh sakta hoon, sab zumevari meri , aap
> sab
> > ka saath chahiye. Apni razamandi avash bheje , lekin ek baar baith
kar
> > charch a zaroor kar lein aap jo bhee sthan chunege charcha ke liye
> mujhe
> > manzoor hoga.
> >
> > Pujya Pandit Jee aur Lal Kitab ke baare ek baar soche aur apna haath
> ek
> > baar zaroor badaye .Fir dekhe ki aapki zindgi mein kitna badlav aata
> > hai.
> >
> > Shubhkamna Sahit
> >
> > MAHAJAN
> >
>

__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Weight Management Group

on Yahoo! Groups

Join the challenge

and lose weight.

Yahoo! Groups

Auto Enthusiast Zone

Auto Enthusiast Zone

Discover auto groups

Yahoo! Groups

Stay healthy

and discover other

people who can help.

.

__,_._,___

1 comment:

Commodity Tips | Stock MarketTips said...

Now find all top Indian stock market analyst with their stock market recommendations at one place.